Ek haseen shaam ki kahani,
Raja ke haathon mein rani,
Ek zaalim sooraj loafer ki tarah pichhey paraa,
Bayen se kisi kaminey ki seeti,
Dayen mein pallu pichhey koi thahakey chada.
Bedard shaam, dusman duniya,
Haseena ko haath liye kisi chhaawni mein main chala,
Kuchh meethi baat karenge,
Ek duje ko aankhon mein lenge.
Lambi kwahish thi,
Do chaar lamhe yun hi saath guzaroon,
Do chaar yadon ko kismat sey churaoon,
Ki kal jab nazrein kuchh kamzor parengi,
Chandi ke bartan sa ghiskey yahdoon ko chamkaoon.
Karah raha hai aaj woh shaam,
Chandi ka chamak aaj pheeka hai,
Kamzor yaadein kuch na seekha hai,
Shaayad.
Shaayad kehin sey mere kaano mein kuch goonja hai,
Woh door galiyon ki deewaron sey takrati kisi Alka ki vaani,
Yadoon mein jawani, kisi bedardi ki kahani,
“Pardesi, pardesi, jaana nehi”
Jana nehi.
Ek hansta pari meri aankhon par aa baitha,
Uski aankon mein ek ajab si khushi thi,
Mano aandhi mein parinda ek ghonsla dhoonda ho,
Mano Savitri sa Jum ke paley se kisi pyarey ko chhuraya ho,
Mano jungal mein koi hirni apney navjaat ko chhupaya ho,
Usi khushi ki jhalak aaj diwali mein sajti hai,
Holi ki rangon mein aasman mein udti hai,
Kisi aashiq ke dil ke khoon mein khoulti hai.
To lo, aaj diwali hai, aaj holi hai,
Laal mein rangi kisi dulhan ki doli hai,
Jee haan,
Is kehani ki chamak Aishwarya ki choli hai!